Meri Kahani apni Jubani
I am Avanish Sinha, basically from Bihar, currently Staying in Bengaluru with my lovely wife. We both are working in the IT form of Bengaluru.
Waise main North india se huin to mujhe Hindi me apni batein rakhna jada achha lgta h kyuki jo batein apni mother tough me hoti hai aur jitna insan usme comfortabke hota h unta kisi dusre language ,mein nahi hota hai.
Yah mera pahle blog hain,waise maine bahut suna hain blogs ke bare mein,par kabhi try kiya nahi aur kuch jada idea bhi nahi hai ki kya likhna chahiye, but aaj socha ki kuch likha jaye to maine socha aaj apne barein mein hi aap logo ko btata huin. Blog start karne ke liye mere anusar aur koi topics samjh bhi nahi aa raha tha aur pahle blog se hi kya likhu jada samjh bhi nahi aa raha tha.
Esliye aaj main apne barein mein hi batein karta hu.
Waise bachpan se hi mujhe padhne likhne ka bahut saukh raha hai aur main ek chotein se gaon se bhi belogs karta huin jo Bihar State ke East Champaran district me aata h jiska name Kharsalava hai jo Ghorasahan Anchal me padhta hain.
Meri suru ki padhae Ghorasahan se hi huin h aur main 10th tak ki padhae wahi ke ek chote school jiska name Rastriye bal vidhyalay h usse kiya hu,yadhpi 10th ka exam kisi government school se karna hota h esliye uske liye waha se goverment high school Thakur Ram Mathura Prasad high school (TRMP) se kiya.
Uske baad main engineering ke liye apne state capital Patna chala gaya.
Waha maine engeering ke liye preparation karne lga parantu mera background HIndi medium tha to main utna achaa nahi kar paya aur maine Aircraft Mentainace Engineering ke liye entrance diya aur usme apna admission karwaya,waise maine bahut sare engeering ke bhi exams diye par achhe rank nahi aane ki wajas se admission nahi liya jiski wajah se mere 2 years bhi bekar chale gaye 12th karne ke baad. Fir maine AME(Mechanical) complete karke job ki talas mein Delhi shift ho gaya.
Uske baad maine kuch dino tak delhi me jab karne ke baad Bangalore shift ho gaya kyuki meri nayi Job yahi lgi aur tab se aab tak main Bangalore me hi huin.
yah Blog main Aaj 12/07/2020 ko likh raha huin jis samay sari duniya Corona jaise bari mahamari se jujh raha hai aur es paristhiyo mein sabo ke liye apni suraksha karna bahut badi chunauti bani hue hai.
waise es mahamari ne sare viswa se lakho karoro logo ki job ko khatra paida kar diya hai usme to bahiuto ki Job bhi chali gayi hai aur kuchek ki jane ke kagar par hai waise main peivate naukari walo ki hi baat kar raha huin,jinki naukariya sabse jada gayi hai.
meri bhi naukari kabhi bhi ja sakti hai aur es situation mein sare sector ke job ki kamobes wahi halat hain. Agar ek baar Job chali jati hai to nayi job milna bhi kafi muskil hain kyuki abhi sare ke sare private sector wale layoff kar rahe hain.
Goverment ne to kafi sare steps liye hain par privates sector ke Jobs kakuch nahi kaha ja sakta hain.Waise to yahi soch kar kafi dar lagta hain ki Job jane ke baad insan apni sari responsibilities kaise pura kar payega jo uske pass hai jisko use karne utna hi jaruri hota h jitna roj ka khana aur Zindagi ko jina.
waise maine bahut kuch short me likh diya hain jo main bhi janta huin aapme se koi nahi padh sakta waise bhi kyu padheda kyuki main koi aisa insan huin bhi nhai ki koi mere bare me padhna chahega.
Waise hae insan ke kuch sapne hote hote h waise hi mere bhi kuch sapne hain jo maine bhi bachpan se dekha hain aur wo yaj ki main bhi aisa insan banuin jo dusro ke kam aa sakuin aur uske liye maine civil services ko apne sapne pure karne ka jariya chuna hain.Wais mujhe nahi pata kaha tak main esme success ho pata huin wo to samay hi batayega .
Mujhe aap sabke wishes ki jarurat hai taki main apne sapno ko pura kar sakuin.
Bus aur bahut sari baatei hain kahne ke liye par agli baar ke liye chor raha huin.
Expecting loves from you all,
Regards,
Avanish Sinha
Comments
Post a Comment